Hey, guys welcome to Rashgear, Aaj hum baat karenge Kia motor ke Taraf se aane vali next car ka jo Kia motors jalad he India me launch Karni ki tyari kar rhi hai iss car ka Naam hai Kia carnival.
Doston, aapko bata du Kia Carnival LUXURIOUS Ek SP SUV hai aur iss car ke concept ko greater Noida me huwe 2018 vale auto expo me showcased Kiya Gaya tha. Kia carnival Ek LUXURIOUS SUV hai, isme aapko bahat Sara cabin space milta hai jo ki Ek puri family ke liye sufficient hai.
Kia Carnival Exterior
Dosto Kia carnival ki exterior ki baat kare toh car ka Pura Naam grand carnival hai aur grand ka Matlab Hota “bahot bada” Apne Naam ki he Tarah carnival kaafi lambi aur Chaudi car hai, Agar Kia carnival ki length ki baat kare toh iski Lenght hai 5.1m vahin iski width hai 1.9m, height hai 1.7 m aur isme aapko long-wheelbase 3.1m tak milta hai.
Kia carnival ke front looks ki baat kare toh aapko isme honeycomb mesh grille dekhne Milegi vahin iske saath aapko chrome ka bhi used dekhne milega surrounding me.
Agar lower bumper ki baat kare usme aapko Ek bada air inlet dekhne milta hai ussi ke saath fog lamps ka bhi space Diya Gaya hai.toh in short Kia Carnival LUXURIOUS ki exterior design kaafi boxy type hai jisme aapko chrome lines ka bhi used dekhne milega.
Grand Kia Carnival Interior
Kia carnival ka interior kaafi jayada spacious and luxury hai. Jayada spacious aur luxury ke saath saath aapko iske interior me smart features ke option diye Gaye hai jisme smart power tailgate, power sliding doors, resistance seats, three-zone climate control, heated and ventilated seats Jese features dekhne milenge.
Kia Carnival me aapko engine Start/Stop button ka option bhi diya jayega.Kia carnival me total 8 seats dekhne Milegi jisme front me 2 seat 2nd row me 3 seat aur 3rd row me 3 seat di jayegi. 2nd aur 3rd row ki seat ko aap aasani se folding bhi kar sakenge jisse aapko aur jayada luggage space mil jayega.
Kia Carnival Engine Specification
Dosto Abhi tak Kia carnival India me officially launch nahi huwi hai lakin Kia carnival ke international model ki specification aapko India me bhi same dekhne Milegi.Kia carnival me aapko 2.2-liter turbocharged diesel engine aur 3.3-liter petrol engine ke 2 option diye Jayenge.
In dono engine ke output ki baat kare toh 2.2-liter diesel engine me aapko 196 bhp ka power aur 441 Nm ka torque aapko iss engine me milega, vahin 3.3-liter petrol engine me 264 bhp ka power aur 317 Nm ka torque aapko aasani se mil jayega. Yeh dono engine 6-speed automatic aur manual transmission ke saath offer kiye Jayenge.
Kia Carnival Mileage
Kia carnival ke mileage ki baat kare toh company claim kar rahi hai ki city me carnival 12 se 14 km/l tak mileage degi vahin highway pe 17 se 18 km/l tak ka mileage offer karegi.
Kia Carnival Price & Launch Date India
Kia carnival ki price ki baat kare toh sources se pta chala India me carnival ki price 27 se 36 lakhs rupees ho Sakti hai ab real price toh iske launch hone ke baad he pta chalegi.
Kia carnival ke launch ki baat kare toh 2021 me ye car India me unveiled ki jayegi aur Indian road pe ye aapko April ya May month me dekhne mil jayegi.